Sunday, May 20, 2012

Talaash...

Dafan ho gaye armaan saare,
Ab bachi bas ek saas hai...
Koi nahi  hai paas humaare,
Ek yaad humaare paas hai...

Ek umang phir bhi zinda hai,
Kuch sapno ki navaas hai...
Toote hue rishton se bhi,
Bandhi judne ki aas hai...

Ji liye bahut se ghumon ko,
Ab ek khushi ki aas hai...
Pee liye har zakhm ke aansoo,
Ab ek hasi ki pyaas hai...

Zamaane ke jitne hi zulm ho,
Himmat apne bhi paas hai.
Chahe Jaisa ho kal apna,
Ab rukna hume na raas hai..

Chalte rahenge sir uthake,
Mann mein naya ek saaz hai...
Safar ki shuruwaat ho hi gayi,
Ab bas manzil ki talaash hai...


Sapna...

Wednesday, May 2, 2012

Tu...

Duniya mein aaya akela tu,
Kyu aam zindagi jiyega tu?

Baant kar amrit muskaan ka,
Ghoot aansoo ke piyega tu.
Tabhi bhoolkar ehem apna,
Prem ka paath padega tu.

Laakh thokarein raah mein lage,
Gir kar bhi sambhal ke chalega tu.
Galatiyaan karke chota hua,
Toh unse seekhkar badhega tu. 

Har pehlu ko dekhkar bhi,
Kuch kisso se agyaat rahega tu.
Ruk na paayega chaah ke bhi,
Jeevan dhaara mein bahega tu.

Vikhyaat sab mein ho na ho,
Khaas kisike liye rahega tu.
Jeevan chaahe sabko na de,
Jaan kisiki banega tu.

Apne karenge naaz tujhpar,
Ek aisa kaam toh karega tu.
Duniya mein aaya akele magar,
Kyu aam zindagi jiyega tu?


Sapna...

Zindagi ka Niyam...


Jis baarish se dharti ki pyas bujhe,
Usse kai phool bhi khil jaate hai.
Baraste badalon ki boondon se,
Kaiyon ke aansoo dhul jaate hai.

Kisi nadi ke kinaare log,
Ghar basaa ke reh jaate hai.
Ufanti nadiya ke paani mein,
Kitno ke ghar beh jaate hai.

Dil se nikle kuch gaane,
Bahuton ki rooh ko choo jaate hai.
Kai dhune zubaan se nikal ke bhi,
Kitno ke kaano tak na pahuch paati hai.

Kuch log chot de kar bhi,
Dil ki gehraayion mein reh jaate hai.
Chand saalon puraane ghaav bhi,
Humeshe hare reh jaate hai.

Zindagi ka ajab niyam hai yeh,
Khushi ke sang ghum bhi aate hai.
Jeevan ki aakhri saas lete hue bhi,
Ek khwahish mann me le jaate hai..


Sapna...