Wednesday, January 30, 2019

Manzil ki ore...

Aankhon mein khwaab ka diya jalaaye
Haathon mein thaame honsle ki dor
Dil mein lekar apno ki duayein
Chal pade hum khwaabon ki ore

Na dar laga hume andhere se
Na dehla paaya hume koi shor
Kaano mein ghoonjte haseen nagme
Jinse jee ho gaya harsh vibhor

Ek mod par, ped ke niche tehre
Takh te rahe asmaan ke taaron ki ore
Aankh lage toh manzar kho jaaye
Na jaane kab ho jaaye bhor

Raah mein khushbu se bhari hawaayein
Vaadiyon pe chayi ghata ghanghor
Phir jo hui yaadon ki barsaatein
Mann naacha jaise mast magan mor

Bina ruke, bina thake phir badhte rahe
Na hone diya iraade ko kamzor
Kuch kadam ki doori pe hum the
Us lakshya ko paa chuka tha koi aur

Naakaamyabi se jo toot jaaye
Woh musafir hoga koi aur
Hum toh sapno ka basta uthaaye 
Chal denge ek nayi manzil ki ore.. 



Sapna..

Tuesday, January 29, 2019

Shaitaan...

Bura Jo hua, unhone kiya
Phir use kyu laaj ka tokra diya
Kab tak woh andhere mein roye
Kyu auron ke zulm ka bojh dhoye

Begunah hokar bhi saza mili
Haivaano ki toli ghoomti khuli
Har nazar us se sawaal karti chali
Kyu usi par uthi har ungli

Ab bhi kya koi aake samjhaye
Hum insaan hone ka farz nibhaye
Ungli na uthaye, haath badhaye
Sar uthakar use jeena sikhaye

Jab jab kisika shoshan hua kahi
Sansani woh khabar ban gayi
Desh jagaa, mombattiya bhi jali
Ab bhi peedita ban rahi gali gali

Betiyon ko hum swa-raksha sikhaye
Swatantra, nidar, nirbhay banaye
Beton ko bhi yeh paath padhaye
Jo ladki ka sammaan na kare,
Woh aadmi nahi shaitaan kehlaye


Sapna..

Friday, January 18, 2019

Kehte hai aansoo..

Ek nanhi jaan ke aate hi
Aankhon se chalak aate hai
Jigar ke tukde ki bidai mein
Bin pooche bebaak baras jaate hai

Azeez khilone ke khote hi
Bacche ki masumiyat ban jaate hai
Mil jaaye jab jaadu ki jhappi
Khilkhilati muskaan ban jaate hai

Khwaab koi jo dagmagaaya ho
Haqeeqat ki pehchaan ban jaate hai
Jisne apno ka saath paaya ho
Uski berok udaan ban jaate hai

Toota koi pyaar bhara Dil ho
Ghum ka paigaam ban jaate hai
Haqeeqat bani koi khwahish ho
Poora hua armaan ban jaate hai

Sarhad pe shaheed koi jawaan hua
Desh ka maatam ban jaate hai
Barse ambar se barkha ki boond
Khushiyon ka mausam ban jaate hai

Kehte hai aansoo, hum paani nahi
Har pal nayi kahani ban jaate hai
Jo samjha, jaan paaya wahi
Jazbaat ki zubaan bhi ban jaate hai


Sapna..









Friday, January 4, 2019

Kya kahenge log

Kya kahenge log,
Iski na tu parwah kar
Dhoop ho ya chaav,
Sar uthake chal har raah par

Bahut honge tere imtihaan,
Tu khud ko bas tayaar kar
Tareefein ho ya badnaami,
Unse bhi upar apna naam kar

Umeed ka diya jalaa,
Har mandir, har dargah par
Khuda ka koi farishta,
Mil hi jayega kisi raah par

Dil se jo chahe tujhe,
Unhe na kabhi naraaz kar
Aansu poch, gum ko bhula,
Zindagi ko khush mizaaj kar

Buland apna honsla,
Nazar apni parwaaz par
Kya kahenge log bhala
Iski kyu tu parwah kar?


Sapna..