Monday, February 18, 2019

Sarhadh pe..

Aaj desh humara rota hai
Ki khoya phir ek beta hai
Tu kyu maayoos hota hai?
Ki sarhadh pe woh khada hai

Bhaarat ki darti phir laal hai
Phir bicha aatank ka jaal hai
Tu kyu khauf se behaal hai
Ki teri raksha karne woh ada hai

Kafan baandhe sar pe woh jaata hai
Laut ke aaunga yeh keh jaata hai
Tu ab uske liye palke bichaata hai
Jab woh tirange mein lipta pada hai

Aisi ghatna hoti har saal hai
Har seene mein chubhti ye bhaal hai
Un veeron ka jazba bemisaal hai
Jinka naam sunehre lafzon mein gada hai

Ab humko na sehemna aata hai
Dil mein badle ka gubbaar ban aata hai
Un shaheedon ka hum sab se naata hai
Hume ek karne woh chithdo mein udhada hai



Sapna..









Monday, February 11, 2019

Yeh Kya hua...

Yeh mera dil mujhse aaj poochta,
Mere desh ko yeh kya hua?

Khilkhilati dhoop thi saji kabhi yaha
Khet mein kisaan jab beej bo raha
Jo tha annadaata poore desh ka
Woh daane daane ko mohtaaj ho raha

Bacchon ki kilkariya goonjti yaha
Unki shaitaaniyon se mast tha sama
Shiksha ka mandir hum sabka jo tha
Masoom jismo ka wahi lahoo beh raha

Diwali pe pataakhon ka shor tha
Holi pe pyaar ke rango ka zor tha
Apnepan ki galiya thi, kaise ghul gaya
Khushnuma hawaon mein barood ka dhua

Seva karne ko humne jise chuna tha
Wahi neta aaj humpe raaj kar raha
Koi insaan kahi sadak pe so raha
Wo bas apni tijoriyo ko bhar raha

Kya unka bhi aisa hi khwaab tha
Jinhone hume gulami se azaad kar diya
Kehte wo aaj, dekh kar yaha waha 
Mere desh ko yeh kya ho gaya.??

Sapna..


Friday, February 1, 2019

Shukriya...

Ae khuda, tera shukriya...

Shukriya ki mujhe pyaar diya
 Khushi chaahne wala parivaar diya
Warna matlab ki duniya mein kitno ko
Apno ne jeete jee maar diya

Shukriya ki mujhe awaaz di
Jo gavah hai mere har ehsaas ki
Warna kai aise hai jo sunte nahi
Anoothi sargam jeevan ke saaz ki

Shukriya ki mujhe ghar mila
Thali mein khana pet bhar mila
Warna naseeb ke maare kaiyon ke
Haath ka nivaala, muh ko na mila

Shukriya ki meri santaan hai
Jisne dil ko rakha jawaan hai
Warna aise bhi maa baap hai
Jo bas daulat ki khaan hai

Ab har bhool ke liye sharminda hu
Shukriya ki main azaad parinda hu
Na beemariyon ne mujhe kaid kiya
Shukriya ki main aaj bhi zinda hu!


Sapna..