Tuesday, December 26, 2017

Kya hai?...

Hume toh gum sehne ki aadat hai
Auron se dukh baant ne ki zaroorat kya hai?

Humse kehte hai, mann ki baat keh do
Kaam na aaye, woh dost kya hai?
Har dost beech raah mein chod gaya
Ab sahare ki hasrat kya hai?

Tanhai mein aksar sochte hai
Mukammal na ho, wo mohabbat kya hai
Jab humare dildaar hi dard de
Toh gairon ki nafrat kya hai?

Pyar ke naam har khushi kar di
Isse zyada unki ibaadat kya hai?
Unki bewafai pe bhi pyaar aata hai
Dil se koi aur shikayat kya hai?

Aankhe moond kar unke peeche chalte rahe
Isse badhkar yakeen hi hadh kya hai?
Jo kareeb the, unhe humse juda kar dia
Ae khuda! teri nazron mein barkat kya hai?

Muskuraa kar haathon mein kaante de gaye
Isse khoobsurat kisiki nazaakat kya hai?
Umr bhar hum ek rishte ko taras gaye
Isse lambi koi muddat kya hai?

Hume toh gum sehne ki aadat hai
Auron se dard baant ne zaroorat kya hai...

Sapna...

Saturday, August 12, 2017

Gum ho Gaye...

Kabhi bina thake baatein hoti
Kabhi ghanto tak khamoshi hoti
Ab jaise lamhe gumsum ho gaye
Zindagi ki daud mein kuch dost gum ho gaye..

Kahi hasi ki sunehri dhoop khilti
Kahi aansuon ki bauchaar hoti
Wo pal ab guzre mausam ho gaye
Zindagi ki daud mein kuch dost gum ho gaye..

Ek doosre ko bewajah cheda karte
Par mushkil mein dhaal ban jaate
Har raah mein wo humkadam ho gaye
Zindagi ki daud mein kuch dost gum ho gaye..

Kabhi sapno ki unchi udaan hoti
Kabhi unse zameen ki pehchaan hoti
Wo manmarziyo ke aalam kho gaye
Zindagi ki daud mein kuch dost gum ho gaye..

Kuch naye bane, kuch purane ho gaye
Kuch poori tarah anjaane ho gaye
Kuch hum se main aur tum ho gaye
Zindagi ki daud mein kuch dost gum ho gaye..

Har saal aata hai Dosti ka din
Guzar jaata hai unhi ke bin
Ab yaadon mein wo meetha marham ho gaye
Zindagi ki daud mein jo dost gum ho gaye...


Sapna...

Wednesday, April 26, 2017

Khwaab keh dia...

Rishton ki talvaarein bahut chali
Par ghayal hume bas ek ne kia.
Kar ke kuch lamhon ki muh dikhayi
Tanhaiyon ka neg de dia.

Muskaan ki dastak ka intezaar tha
Maayusi ne gruhpravesh kar lia.
Phoolon se saja har sapna tha
Pal mein kaanto ka dher kar dia.

Kaatil ko phir bhi sukoon na mila
Humari tadap ko usne dekh lia.
Karte nahi dushmano ke saath aisa
  Jo usne humari mohobbat ka sila dia.

Ab kya mol humare itezaar ka
Jab unhone rishte ko zaleel kar dia.
Humare jazbaat ka mazak banakar
Kisi aur ko dil ke kareeb kar dia.

Ek pal ko kamzor hue, phir use dekha
Phir honsla apne dil ko de dia.
Humne aaina dekh ke haqeeqat ka
Uski qurbat ko khwaab keh dia.


Sapna...

Tuesday, March 21, 2017

Kya Maanga Tha...

Jab aapki zindagi ka hissa bane
Socha nahi tha itna zyaada maanga tha
Apni har hasi aapko deke
Aapke aansu lene ka vaada maanga tha
 
Kareebiyan chahe badhti na rahe
Dooriyon ka silsila kabhi na maanga tha
Jashn-e-zindagi mein chahe na mile
Aapki tanhaiyon ka tukda zyaada maanga tha
 
Humare har pal ke moti ko pirone
Aapke waqt ka dhaaga maanga tha
Pyaar toh kisise mil jaata hume
Umr bhar dosti ka iraada maanga tha
 
Din, mahine, saal yuhi guzar rahe
Inhe aapke saath jeene ka vaada maanga tha
Aaj yaad karte hai beete lamhe
Sochte hai...
Sach mein kya humne kuch zyaada maanga tha?
 
Sapna...
 
 

Friday, March 10, 2017

Koi khaas...

Yu toh shaadi ka rishta khaas maana jaata hai
Sabse khoobsoorat ehsaas kaha jaata hai
Koi kaise apne itne kareeb ho jaata hai
Ki door rehna bhi na gavaar ho jaata hai
 
Kuch waqt meri shadi ka bhi beeta hai
Mera bhi kisine dil pyaar se jeeta hai
Par ab koi aur bhi khaas aaya hai
Jo meri har saas mein saas leta hai
 
Jab wo meri taraf pyar se dekhta hai
Narmi se apne haath in gaalo pe rakhta hai
Saara samay usi mein kho jaata hai
Jab wo godh mein karwat badalta hai
 
Har waqt mera saath chahta hai
Duniya jhume jab wo muskuraata hai
Dil mein ek teer sa tez chubh jaata hai
Jab uska ek aansuu aankh se gir jaata hai
 
Meri aankhon mein khudko dekhta hai
Bhaaga sa aake mujhe gale lagaata hai
Har baar khaas tohfa mujhe de jaata hai
Jab apne andaaz mein mujhe 'mumma' keh jaata hai
 
 
Sapna...