Saturday, November 23, 2019

Jee kiya...

Aaj sard hawaon ne yu chua
Bachpan ki subah ka abhaas hua
Use gale lagaane ko jee kiya
Phir school jaane ko jee kiya

Bina mann woh bistar se uthna
Maa ke jaate hi phir se sona
Neend se jagne ko jee kiya
Phir school jaane ko jee kiya

Uniform ko bewajah kosna
Colour dress pehen ne ka wait karna
Tang mozon se ladne ko jee kiya
Phir school jaane ko jee kiya

Class mein kahi khoye rehna
Tiffin kholne ko lalchaana
Doston se dabba churane ko jee kiya
Phir school jaane ko jee kiya

Janamdin ka intezaar karna
Toffiyan paake bahut khush hona
Happy birthday sunne ko jee kiya
Phir school jaane ko jee kiya

Bejhijhak apne yaar banana
Utpatang se kaarnaame karna
Maasoom sa hone ko jee kiya
Phir school jaane ko jee kiya

Kuch kho jaane ka ehsaas hua
Wo beparwah din ab aur kahaan
Khel, koodke din bitaane ko jee kiya
Aaj phir school jaane ko jee kiya



Sapna...




Thursday, November 21, 2019

Abhi abhi..

Abhi abhi aankh khuli thi
Abhi kuch mehsoos hua
Abhi toh sab suhaana sa tha
Manzar badal gaya abhi abhi

Duniya yu toh thi hari bhari
Phir pragati ka aghaaz hua
Kohre sa chaaya hai dhua
Yahaan saaf hawa thi abhi abhi

Jiski sadiyon se pooja ki
Us kudrat ko hi dagaa diya
Gandagee se sab bhar diya
Ganga behti thi abhi abhi

Baari toofan aur zalzalon ki
Berukhi ka yu intekaam liya
Veeraniyon ne ghar basa liya
Gulistaan saja tha abhi abhi

Abhi toh chaayi khushi thi
Kisi godh main kheli thi
Jism toh cheer diya usne
Aatma bhi chill gayi abhi abhi

Hai nasoor milte gali gali
Hai kitno ka imaan bika
Haiwaniyat ne kabza kar liya
Insaaniyat rehti thi abhi abhi



Sapna...



Thursday, November 14, 2019

Kaun hu main?

Aaj dil mein sawal utha
Kaun hu main? ye mujhe bata...

Honthon pe muskaan
aankhon mein nami thi
Bidaai mein samajh aaya,
Papa ki main jaan hu.

Maa ki shaagird
unke jeevan ki poonji
ban jaati unki dost kabhi
Kabhi hoti unki saas hu

Khoon ki rishtedaari
par jaan se badhke yaari
unse milti riyaayatein
Beheno ke sar ka taaj hu

Uski aankhon ki chamak
har shaitaani ki saathi
saath dekhte kai sapne
Bhai ki humraaz hu

Kismat ne milaaya
unki hu main sangini
takleefon mein shakti
Pati ke dil ka karaar hu

Jija ki teekhi mirchi
Bhabhi ki 'meri saheli'
jinko daant ke puchkaarti
Beto ki main dhaal hu

Dil ke kai rishton mein
shaamil bhi hai dosti
unse hai zindadili
Yaaron ki muskaan hu

kabhi bacchhi, kabhi daadi
kabhi apni hi azaadi
kabhi naachu kisi dhun pe
kabhi sufi sa saaz hu

kabhi rangeen, kabhi ghumgeen
kabhi sakht, kabhi pyari si
Kabhi hansaake maar du
Kabhi khud hoti naraaz hu

Kabhi khatti, kabhi namkeen
Behadh meethe ki shaukeen
Zindagi ke har zaayke se bhara
Main khushnuma andaaz hu


Sapna...






Sunday, November 3, 2019

Jaane do...

Aaj mann ko udd jaane do...

Jharokho se bahut dekh liye 
Guzarte hue kai mausamo ko
Aaj zara pankh pasaar kar
Mann ko kahi udd jaane do

Kehte hai manzilein milti hai
Apna kar naye raaston ko
Aaj taqdeer se takraa kar
Manzil ko apni ore mudd jaane do

Saathi nahi har raah mile
Dekh lo hawa paraston ko
Aaj zindagi ko gulzaar kar
Ghumon ki chinta udd jaane do

Hawa mein pheli khushbuyein
Saanse chakhti un zaayko ko
Lab chuyein muskuraa kar
Ehsaas ka meetha gudd khaane do

Jism hai jakde bediyon mein
Rooh na jaane paabandiyon ko
Begaano se khud ko judaa kar
Khudko khudse judd jaane do


Sapna...