Tuesday, August 21, 2018

Waqt...

Waqt ki meherbani se
Hume aap toh mil gaye
Ab aap bhi meherbani karke
Humare liye kuch waqt nikaal lo

Dil ne khayi kai chotein
Hum kisi tarah sambhal bhi gaye
Ab apni baahon mein bharke
Hume humesha ke liye sambhaal lo

Kuch kehna tha kayi dino se
Khayalon mein kayi baar keh chuke
Humari taraf kabhi dekho zara
Aur nazron se ankahi sun lo

Nahi chaha tha yu kisi ko
Is chahat ki ab na saza do
Kar rahe intezaar har pal
Ab toh hume dil se apna lo

Samajhte ho sabke dard ko
Humari takleef bhi zara jaan lo
Saalon beet gaye saath rehke hume
Ab toh saath hone ka ehsaas do...





Saturday, February 10, 2018

Ladki...

Haan main shaadi shuda hu
Toh kya ab main ladki nahi?
Kyu bana diya mujhe aurat 
Jab mujhme abhi bacchhi hai kahi 

Mujhse ummeed kare har koi
Par mujhe ummeed ka haq nahi.
Main sahi karu toh bhi galat
Tumhari na insaafi bhi sahi

Meri haya meri aankhon mein hai
Toh kyu ghunghat mein kaid hui?
Jab galti ho jaaye, sikha dijiye
Par aap chubhaate ho taane ki sui.

Sabka khayal main rakhti jau
Mere liye mujhe waqt hi nahi.
Khana, bartan, kapde, bacche
Inhi mein zindagi simatke reh gayi.

Kyu na hasu dil khol ke main
Isse aapki izzat kyu kam hui?
Kyu na poore karu apne khwaab
Kya usme aapki bhi barkat nahi?

Nahi chahiye dhan daulat
Na maange shaano shaukat.
Har ladki ki maang hai bas
Aapki nazron mein uski izzat.

Beti paraya dhan, bahu paraye ghar ki
Uska apna ghar, aakhir kya hai kahi? 
Jeene dijiye apni sharton pe mujhe
Bana lungi apna aashiyan khud hi kabhi.


Sapna..