Tuesday, March 21, 2017

Kya Maanga Tha...

Jab aapki zindagi ka hissa bane
Socha nahi tha itna zyaada maanga tha
Apni har hasi aapko deke
Aapke aansu lene ka vaada maanga tha
 
Kareebiyan chahe badhti na rahe
Dooriyon ka silsila kabhi na maanga tha
Jashn-e-zindagi mein chahe na mile
Aapki tanhaiyon ka tukda zyaada maanga tha
 
Humare har pal ke moti ko pirone
Aapke waqt ka dhaaga maanga tha
Pyaar toh kisise mil jaata hume
Umr bhar dosti ka iraada maanga tha
 
Din, mahine, saal yuhi guzar rahe
Inhe aapke saath jeene ka vaada maanga tha
Aaj yaad karte hai beete lamhe
Sochte hai...
Sach mein kya humne kuch zyaada maanga tha?
 
Sapna...
 
 

Friday, March 10, 2017

Koi khaas...

Yu toh shaadi ka rishta khaas maana jaata hai
Sabse khoobsoorat ehsaas kaha jaata hai
Koi kaise apne itne kareeb ho jaata hai
Ki door rehna bhi na gavaar ho jaata hai
 
Kuch waqt meri shadi ka bhi beeta hai
Mera bhi kisine dil pyaar se jeeta hai
Par ab koi aur bhi khaas aaya hai
Jo meri har saas mein saas leta hai
 
Jab wo meri taraf pyar se dekhta hai
Narmi se apne haath in gaalo pe rakhta hai
Saara samay usi mein kho jaata hai
Jab wo godh mein karwat badalta hai
 
Har waqt mera saath chahta hai
Duniya jhume jab wo muskuraata hai
Dil mein ek teer sa tez chubh jaata hai
Jab uska ek aansuu aankh se gir jaata hai
 
Meri aankhon mein khudko dekhta hai
Bhaaga sa aake mujhe gale lagaata hai
Har baar khaas tohfa mujhe de jaata hai
Jab apne andaaz mein mujhe 'mumma' keh jaata hai
 
 
Sapna...