Har kathin ghadi mein
Mazboot ho insaan.
Dagmagaaye na mushkil mein
Aisa ho Emaan.
Chahe khushiyon ki baarish ho,
Ya ho jeevan veeraan.
Har aah mein dua hi ho,
Aisa ho Emaan.
Saath humare doot chale,
Ya ho koi haivaan.
Dil se sabki bhalayi chahe,
Aisa ho Emaan.
Chahe zindagi lambi ho,
Ya ho maut ka farmaan.
Haskar sab sweekaar kare,
Aisa ho Emaan!!
Sapna...
No comments:
Post a Comment