Har koi hai bana paraya
Kisi apne se kya kahu?
Chunte jinhe hum apne neta
Wo puche abey kaun hai tu?
Jispar kare aankhe moon bharosa
Wo hi loote beti bahu.
Kahi maa ke haath shav bete ka,
Kahi bache khote maa bapu.
Sab kahe dosh hai auro ka,
Saza akela main kyu sahu?
Apno ne apno ko kaata,
Kab tak haivaaniyat dekhu?
Har nazar mein dikhta badla
Behta har sadak pe lahu.
Lut rahi pal pal mein duniya,
Na jaane kyu maun main hu?
Har ek ban chuka hai paraya,
Kisi apne se ab kya kahu??
Sapna...
No comments:
Post a Comment