Arse baad ek chehra mann ko bhaya hai,
Ae dil is zindagi mein ye kaun aaya hai?
Apni parchai ki jagah kisi aur ka saaya hai,
Tanhai mien bhi kisika saath paaya hai.
Aaine ke saamne jab bhi khade hue,
Aks ko kyu badla badla paaya hai?
Gumgeen palo mein unhone hasaya hai,
Khushi ke lamho ka dugna lutf uthaya hai.
Sookhi si is besvaad zindagi ko,
Rango ki chaashni mein kisne dubaaya hai?
Ankahee mein lavzon ka ehsaas paaya hai,
Khamoshiyon ne ek naya geet gaaya hai.
Armaano ka bemol tohfa bhijwaya hai,
Sapno ko apni aarzoo se kisne sajaya hai?
Mushkilon ko jisne apna pata bataya hai,
Umr bhar ka hume humsafar banaya hai.
Unki ek aahat se aalam jagmagaya hai,
Har lamha yu khulke kyu muskuraya hai?
Unki ek aahat se aalam jagmagaya hai,
Har lamha yu khulke kyu muskuraya hai?
Kya humne apne saathi ko paaya hai?
Ae dil is zindagi mien ye kaun aaya hai??
Sapna...
No comments:
Post a Comment