Yu toh shaadi ka rishta khaas maana jaata hai
Sabse khoobsoorat ehsaas kaha jaata hai
Koi kaise apne itne kareeb ho jaata hai
Ki door rehna bhi na gavaar ho jaata hai
Kuch waqt meri shadi ka bhi beeta hai
Mera bhi kisine dil pyaar se jeeta hai
Mera bhi kisine dil pyaar se jeeta hai
Par ab koi aur bhi khaas aaya hai
Jo meri har saas mein saas leta hai
Jab wo meri taraf pyar se dekhta hai
Narmi se apne haath in gaalo pe rakhta hai
Saara samay usi mein kho jaata hai
Jab wo godh mein karwat badalta hai
Har waqt mera saath chahta hai
Duniya jhume jab wo muskuraata hai
Dil mein ek teer sa tez chubh jaata hai
Jab uska ek aansuu aankh se gir jaata hai
Meri aankhon mein khudko dekhta hai
Bhaaga sa aake mujhe gale lagaata hai
Har baar khaas tohfa mujhe de jaata hai
Jab apne andaaz mein mujhe 'mumma' keh jaata hai
Sapna...
No comments:
Post a Comment