Monday, February 11, 2019

Yeh Kya hua...

Yeh mera dil mujhse aaj poochta,
Mere desh ko yeh kya hua?

Khilkhilati dhoop thi saji kabhi yaha
Khet mein kisaan jab beej bo raha
Jo tha annadaata poore desh ka
Woh daane daane ko mohtaaj ho raha

Bacchon ki kilkariya goonjti yaha
Unki shaitaaniyon se mast tha sama
Shiksha ka mandir hum sabka jo tha
Masoom jismo ka wahi lahoo beh raha

Diwali pe pataakhon ka shor tha
Holi pe pyaar ke rango ka zor tha
Apnepan ki galiya thi, kaise ghul gaya
Khushnuma hawaon mein barood ka dhua

Seva karne ko humne jise chuna tha
Wahi neta aaj humpe raaj kar raha
Koi insaan kahi sadak pe so raha
Wo bas apni tijoriyo ko bhar raha

Kya unka bhi aisa hi khwaab tha
Jinhone hume gulami se azaad kar diya
Kehte wo aaj, dekh kar yaha waha 
Mere desh ko yeh kya ho gaya.??

Sapna..


No comments:

Post a Comment