Kisiki aankhon mein gehraayi na rahi
Kisiki baaton mein sacchai na rahi
Kaamyaab ho gayi khudgarzi is kadar
Dhoop mein bhi saath, parchaayi na rahi
Kabhi thali mein ghee mil jaata hai
Kabhi chano se kaam chalana padta hai
Namkeen aansuon ko pekar bhi
Meetha sa muskurana padta hai
Sar utha, uth aur chal de
Honsla yu kamzor kyu hai
Dil khol, apna haal bol de
Teri chuppi mein shor kyu hai
Begunaah ko saza hote dekha
Kayi apno ko khote dekha
Yu laga maine kisiko paa liya
Jab apne kandhe par use rote dekha
Gairon ki wah waahi mil jaaye
Aise mashoor shaayar na the
Husn ke darr se chupa karte the
Warna aise hum kaayar na the
Dhoop mein bhi saath, parchaayi na rahi
Kabhi thali mein ghee mil jaata hai
Kabhi chano se kaam chalana padta hai
Namkeen aansuon ko pekar bhi
Meetha sa muskurana padta hai
Sar utha, uth aur chal de
Honsla yu kamzor kyu hai
Dil khol, apna haal bol de
Teri chuppi mein shor kyu hai
Begunaah ko saza hote dekha
Kayi apno ko khote dekha
Yu laga maine kisiko paa liya
Jab apne kandhe par use rote dekha
Gairon ki wah waahi mil jaaye
Aise mashoor shaayar na the
Husn ke darr se chupa karte the
Warna aise hum kaayar na the
No comments:
Post a Comment